Ab tak na samaj paye mera

Ab tak na samaj paye mera shor-e-fughaan b


tum log to parh letay ho ankhon ki zuban b

khat is liye shayad mujay ab tum nahi likhtay

kaghaz py utar aaty hen sanson k nishan b

shohrat say faqat is liye aata hay mujay khof

mash’hoor na ho jaye mera zakhm-e-nihaan b

is dard k rishtay me to yksan hen shb-o-roz

jo haal tumhara hay wo aalam hay yahan b

kuch wo b dukhi dil liye aya tha meray pas

kuch dard bhara tha mera andaz-e-bayaan b.



No comments:

Post a Comment