Wo thaka huwa meri baanhon

Wo thaka huwa meri baanhon mein zara so gaya tha to kya huwa,?


.

Abhi main ne dekha hai chaand bhi kisi shaakh-E-gul pe jhuka huwa.

.

Mere sath sath sada raha wo meri nazar se chupa huwa,

.

Yeh ajeeb hijr-O-wisaal hai na kabhi mila na juda huwa.

.

Koi phool dhoop ki pattiyon mein haray riban se bandha huwa,

.

Wo ghazal ka lehja naya naya na kaha huwa na suna huwa.

.

Jisay lay gai hai abhi hawa

wo waraq tha dil ki kitaab ka

.

Kahin aansuon se mita huwa kahin aansuon se likha huwa.

.

Kayi meel rait ko kaat kar koi moaj phool khila gayi

.

Koi pairr piyaas se mar raha hai nadi k paas kharra huwa

No comments:

Post a Comment