Baazi-e-Ishq Kuch Is Tarhan Se Haaray Yaaron
Zakham Par Zakham Lage Dil Pe Hamare Yaaron
Koi To Aisa Ho Jo Ghaao Par Marham Rakhe
Yun To Dushman Na Bano Saare Ke Saare Yaaron
Bazam Main Sar Ko Jhukaye Hue Jo Bethay Hain
In Ko Mat Chero Yeh Hain Ishq Ke Maarey Yaaron
Jin Main Hote Thay Kabhi Meher-o-Wafa Ke Moti
In Hi Ankhon Main Sitam Ke Hain Shararay Yaaron
Dost Hi Apne Jo Karne Lagen Nazar-e-Tufaan
Kaam Nahi Aate Phir Koi Saharay Yaaron
Sang Ghairon Ne Jo Maaray To Koi Dukha Na Hua
Mar Gaye Tum Ne Magar Phool Jo Maaray Yaaron
Woh Jo Raha Dil Seenay Main Tumhari Khatir
Tum Ne Kia Kia Nahin Taanay Usay Maaray Yaaron...!
No comments:
Post a Comment