GHAZAL:Zinda na ho koi Jahan bas Maot rehti

Mujhy Gum’Naam rehny ka kuch aisa Shoq hy Humdam


Kisi Benaam Sehra me Bhatakti dhoop ho jese,

Jahan Saaye Taraste hon kisi Paiker ki Aahat ko,

Jahan Zinda na ho koi Jahan bas Maot rehti ho,

Ya kuch ayse k Darya k kahin us Paar Keekar pay

Kisi Chiriya k Bachy ki Trapti Piyas ho jesy,

K jiski Zindgi k Din boht Bejaan guzry hon,

Jo Urrney ko Trasta ho magar Hasrat’

Dam_e_Aakhir,

Wo apne Ghonsley me hi kuch ayse Jaan dy jese,

Hazaron Karwaton k bad meri Umeedein Marti hen,

Mujhy

“GumNaam”

rehny ka kuch aisa

“ShoQ”hy

“HumDam”.

Related Posts :



No comments:

Post a Comment