Har sham jo waqt pe ghar jane lage ho,
Tum kaise akele se nazar aane lage ho,
Dewana to sab ehl-e-mohabbat ka laqab hy,
Phir kyun tum is ezaaz se ghabrane lage ho,
Behtar hy isay ghar k kisi taaq mein rakh do,
Toota hua dil le k kahan jane lage ho,
Bahain wo haayil hain kisi aur k galay mein,
Tum jin k liye chooriyan banwane lage ho,
Aashob-e-nazar se bhi pharakti hy kabhi aankh,
Tum yeh na samajhna k yaad aane lage ho.

No comments:
Post a Comment